us taraf tu teri yaktai hai
is taraf main meri tanhai hai
do alag lafz nahin hijr o visal
ek mein ek ki goyai hai
hai nishan jang se bhag aane ka
ghar mujhe bais-e-ruswai hai
habs hain mashriq o maghrib donon
ab na pachhwa hai na purwai hai
ghas ki tarah paDe hain hum log
na bulandi hai na gahrai hai
jis bayaban mein hun main aabla-pa
wo bayaban meri sachchai hai
us ki baaton pe KHafa mat hona
'farhat' ehsas to saudai hai
Ghazal
Us taraf tu teri yaktai hai
Farhat Ehsas