us taraf se koi tufan hawa le ke chali
aur idhar main bhi hatheli pe diya le ke chali
mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi baKHshi hai magar
jab chali ghar se to main nam tera le ke chali
hadse rah mein the aur safar zalim tha
chand masum labon se main dua le ke chali
mal agar le ke sabhi aae teri mahfil mein
mere aanchal mein wafa thi main wafa le ke chali
sab jahan hath pasare hue aae 'nikhat'
aise bazar mein main apni ana le ke chali
Ghazal
Us taraf se koi tufan hawa le ke chali
Naseem Nikhat