us sitamgar ki mehrbani se
dil ulajhta hai zindagani se
KHak se kitni suraten ubhrin
dhul gae naqsh kitne pani se
hum se puchho to zulm behtar hai
in hasinon ki mehrbani se
aur bhi kya qayamat aaegi
puchhna hai teri jawani se
dil sulagta hai ashk bahte hain
aag bujhti nahin hai pani se
hasrat-e-umr-e-jawedan le kar
ja rahe hain sara-e-fani se
hae kya daur-e-zindagi guzra
waqiye ho gae kahani se
kitni KHush-fahmiyon ke but toDe
tu ne gulzar KHush-bayani se
Ghazal
Us sitamgar ki mehrbani se
Gulzar Dehlvi