us shoKH se milte hi hui apni nazar tez
hai mehr-e-daraKHshan ki shuaon ka asar tez
wo peD jo tezab se sairab hua tha
us peD ka hone laga har ek samar tez
wo manzil-e-maqsud pe pahunchega yaqinan
jo rah mein chalta rahe be-KHauf-o-KHatar tez
deta hai jidhar un ko mafad apna dikhai
arbab-e-hawas shauq se baDhte hain udhar tez
be-nur na kar jae fasadat ki aandhi
lau ghar ke charaghon ki zara aur bhi kar tez
aasar qayamat ke nazar aate hain 'asi'
is daur mein dekha gaya har ek bashar tez
Ghazal
Us shoKH se milte hi hui apni nazar tez
Aasi Faiqi