اردو हिंदी
Us shakar-lab ka main KHayali hun | Shaahi Shayari
us shakar-lab ka main KHayali hun

Ghazal

Us shakar-lab ka main KHayali hun

Daud Aurangabadi

;

us shakar-lab ka main KHayali hun
is sabab shakkarin-maqali hun

jab sun teri bhuwan ki bait kaha
tab sun main sani-e-hilali hun

dil nahin tujh KHayal sun KHali
is sabab surat-e-KHayali hun

kyun nahin mujh shikast mein aawaz
kya magar kasa-e-sifali hun

mujh mein izhaar-e-qal nin hargiz
bas-ki main aashiqan mein haali hun

tujh kaf-e-pa ki intizari mein
farsh hone kun naqsh-e-qali hun

kan hai is waqt mein 'wali' 'daud'
jo kahun main suKHan ka wali hun