us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar
zindagi apni is arman mein barbaad na kar
gila-e-zaur na kar shikwa-e-bedar na kar
zulm sahne ka maza ye hai ki fariyaad na kar
KHalwat-e-dil hai tere aa ke Thaharne ki jagah
teri marzi use barbaad kar aabaad na kar
baghban tak mein hai ghat mein sayyaad hai dekh
sair-e-gulshan abhi ai bulbul-e-nashad na kar
kuchh taDapne ka sisakne ka maza lene de
itni tajil mere qatl mein jallad na kar
ab mujhe taqat-e-parwaz nahin ai sayyaad
rahne de qaid qafas se mujhe aazad na kar
upri dil se sahi kuchh to tasalli ho jae
saf inkar se zalim mujhe nashad na kar
dar-e-mahbub tak ai baKHt mujhe pahuncha de
aur kuchh us se siwa tu meri imdad na kar
be-dhaDak jaan sabhi ahl-e-wafa dete hain
tu faqat midhat-e-jabazi-e-farhad na kar
gham-e-dildar ne rag rag ka lahu chus liya
mujh se ab chheD tu ai nashtar-e-faulad na kar
lakh dushwar sahi zabt-e-fughan ai bulbul
magar ek uf bhi to be-marzi-e-sayyaad na kar
sadma-e-hijr ke shikwon pe wo bole shab-e-wasl
gai guzri hui baaton ko tu ab yaad na kar
ai dil us shoKH ki taswir tasawwur mein to khinch
kaam mani se na rakh minnat-e-bahzad na kar
'asi'-e-be-sar-o-saman ko paDa rahne de
apne kuche se uTha kar use nashad na kar
Ghazal
Us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar
Abdul Aleem Aasi