us se taslim bas yunhi si hai
barf ehsas ki jami si hai
chaliye ahbab ko to jaan gae
ye musibat to aarzi si hai
kuchh to chaaragari kare koi
aaj kuchh dard mein kami si hai
aaj chupke se kis ki yaad aai
dil ke aangan mein chandni si hai
kis ne tark-e-wafa kiya pahle
ye shikayat bhi bahami si hai
hasrato ab to ho chalo KHamosh
nabz bimar ki thami si hai
umr guzri jise bayan karte
wo katha ab bhi an-kahi si hai
Ghazal
Us se taslim bas yunhi si hai
Irfan Waheed