اردو हिंदी
Us se rishta hai abhi tak mera | Shaahi Shayari
us se rishta hai abhi tak mera

Ghazal

Us se rishta hai abhi tak mera

Ahmad Mahfuz

;

us se rishta hai abhi tak mera
wo ilaqa hai abhi tak mera

kis tawaqqo ne jagaya tha mujhe
KHwab taza hai abhi tak mera

kya bataun main lab-e-dariya se
kuchh taqaza hai abhi tak mera

kahin yak dasht hawa chamakti thi
shahr andha hai abhi tak mera

ek zara KHud ko sameTun to chalun
kaam phaila hai abhi tak mera

wahi sahra hai wahi ranj-e-safar
wahi qissa hai abhi tak mera