us se phir kya gila kare koi
jo kahe sun ke kya kare koi
hum bhi kya kya kahen KHuda jaane
gar hamari suna kare koi
hae wo baaten pyar ki shab-e-wasl
bhule kya yaad kya kare koi
log kyun puchhte hain haal mera
zikr kis baat ka kare koi
dard-e-dil ka ilaj ho kis se
yun masiha hua kare koi
bewafa gar kahun to kahte hain
kya har ek se wafa kare koi
jae gar jaan to sau hain tadbiren
jae gar dil to kya kare koi
koi apni KHata to ho malum
uzr kis baat ka kare koi
dil ka kuchh haal hi nahin khulta
gar maraz ho dawa kare koi
kabhi main ne bhi kuchh kaha tum se
na suno, kuchh kaha kare koi
tum se be-rahm par na dil aae
aur aae to kya kare koi
saikDon baaten kah ke kahte hain
phir hamein kyun KHafa kare koi
koi kab tak na de jawab tumhein
chupka kab tak suna kare koi
shikwa us but ka har kisi se 'nizam'
us se kah de KHuda kare koi
Ghazal
Us se phir kya gila kare koi
Nizam Rampuri