اردو हिंदी
Us se mat kahna meri be-sar-o-samani tak | Shaahi Shayari
us se mat kahna meri be-sar-o-samani tak

Ghazal

Us se mat kahna meri be-sar-o-samani tak

Indira Varma

;

us se mat kahna meri be-sar-o-samani tak
wo na aa jae kahin meri pareshani tak

Do not even mention my penury to him
Lest he reaches the crux of my problems

main to kuchh bhi nahin karti hun mohabbat ke liye
ishq wale to luTa dete hain sultani tak

I do virtually nothing for my love
Lovers have been known to forego crowns

kaise sahra mein bhaTakta hai mera tishna-lab
kaisi basti hai jahan milta nahin pani tak

What is the desert where my parched lips wander
What is this place where no water is to be found

naKHuda dekh chuka kali ghaTa ke tewar
baadban khol diye us ne bhi tughyani tak

The oarsman has seen the look of the black clouds
He has unfurled the sails till the coming of the storm

pur-KHatar rah meri hone lagi hai aasan
KHauf kis ka hai bhala teri nigahbani tak

My tortuous paths are becoming simple
What fears can there be in your care