us se kya KHak ham-nashin banti
baat bigDi hui nahin banti
wo bani ibtida-e-ulfat mein
dam pe jo waqt-e-wapsin banti
aadmi sab farishte ban jate
aasman par agar zamin banti
meri surat bani to KHak bani
qismat ai surat-afrin banti
wade karte hi kya wo aa jate
raat bhar zulf-e-ambarin banti
kash sunta na koi shor o fughan
dil ki ja chashm-e-surmagin banti
tu ne aise bigaD Dale hain
ek ki ek se nahin banti
na chamakti jo husn ki taqdir
kyun teri chand si jabin banti
para-e-jeb se mere ai kash
dast-e-wahshat ki aastin banti
bazm-e-duniya thi qabil-e-jannat
KHub banti agar yahin banti
tab-e-nazuk ka lutf jab tha 'dagh'
nazninon mein naznin banti
Ghazal
Us se kya KHak ham-nashin banti
Dagh Dehlvi