us se kah do ki wo jafa na kare
kahin mujh sa use KHuda na kare
aaina dekh kar ghurur fuzul
baat wo kar jo dusra na kare
main masiha use samajhta hun
jo mere dard ki dawa na kare
'muztar' us ne sawal-e-ulfat par
kis ada se kaha KHuda na kare

Ghazal
Us se kah do ki wo jafa na kare
Muztar Khairabadi