us se gile shikayaten shikwe bhi chhoD do
dar us ka chhuT gaya to dariche bhi chhoD do
kaisa hai wo kahan hai bana kis ka ham-safar
behtar hai kuchh sawal adhure bhi chhoD do
ek bewafa ka nam likhoge kahan talak
auraq apne mazi ke sade bhi chhoD do
jine ke waste na sahaare karo talash
jab Dub hi rahe ho to tinke bhi chhoD do
shayad nae makan mein un ka na dil lage
ghar chhoDne lago to parinde bhi chhoD do
jis ne tumhein charaghon se mahrum kar diya
us ki gali ke chand sitare bhi chhoD do
dariya se dur rahna hi behtar hai ab 'shakil'
dhaare se kaT gae to kinare bhi chhoD do
Ghazal
Us se gile shikayaten shikwe bhi chhoD do
Shakeel Shamsi