اردو हिंदी
Us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya | Shaahi Shayari
us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya

Ghazal

Us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya

Irfan Siddiqi

;

us se bichhaD ke bab-e-hunar band kar diya
hum jis mein ji rahe the wo ghar band kar diya

shayad KHabar nahin hai ghazalan-e-shahr ko
ab hum ne jangalon ka safar band kar diya

apne lahu ke shor se tang aa chuka hun main
kis ne ise badan mein nazar-band kar diya

ab DhunD aur qadr-shanasan-e-rang-o-bu
hum ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diya

ek ism-e-jaan pe Dal ke KHak-e-faramushi
andhe sadaf mein hum ne guhar band kar diya