us se bhi aisi KHata ho ye zaruri to nahin
wo bhi majbur-e-wafa ho ye zaruri to nahin
log chehre pe kai chehre chaDha lete hain
wo bhi khul kar hi mila ho ye zaruri to nahin
ab ke jab us se milo hath daba kar dekho
ab bhi wo tum se KHafa ho ye zaruri to nahin
justuju kis ki hai ye dasht-e-fana ke is par
wo koi aur raha ho ye zaruri to nahin
dar pe khinche gae kitne zamane mein 'shakil'
har koi isa raha ho ye zaruri to nahin

Ghazal
Us se bhi aisi KHata ho ye zaruri to nahin
Syed Shakeel Desnavi