us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni
har raat mujh ko aa ke satati hai chandni
aab-e-rawan mein husn milati hai chandni
har mauj mein ghaTi nazar aati hai chandni
ja baiThte hain hum lab-e-dariya pe jab kabhu
kya jhumke apne hum ko dikhati hai chandni
saman-e-bazm-e-baada main karta hun jis ghaDi
aa chandni ka farsh bichhati hai chandni
sahra mein ja ke dekh ki har rud-e-KHushk ko
hum rang-e-ju-e-shir banati hai chandni
jab dekhti hai dudh sa pinDa tera miyan
KHajlat se aab hi hui jati hai chandni
pyare andheri raaten hain aise mein mil le tu
phir warna chand chaDhte hi aati hai chandni
gar wo bhi qadr-dan ho to be-jazba-e-talab
ruThe hue sanam ko milati hai chandni
kyunkar na main jalun shab-e-hijran mein 'mushafi'
bin yar mere ji ko jalati hai chandni
Ghazal
Us rashk-e-mah ki yaad dilati hai chandni
Mushafi Ghulam Hamdani