اردو हिंदी
Us pari-ru ne na mujhse hai nibahi kya karun | Shaahi Shayari
us pari-ru ne na mujhse hai nibahi kya karun

Ghazal

Us pari-ru ne na mujhse hai nibahi kya karun

Mirza Mohammad Taqi Hawas

;

us pari-ru ne na mujh se hai nibahi kya karun
sar kidhar paTkun kidhar jaun ilahi kya karun

wasl ka din hai wale aankhon ke mere samne
hai khaDi shab-ha-e-hijran ki syahi kya karun

taKHta taKHta ho gaya tufan mein aa kar jahan
tum se ai yar bayan apni tabahi kya karun

hai to wo dushman pe mahzar dekh kar KHun ka mere
sochta hai is pe mein apni gawahi kya karun

TukDe TukDe dil hua jata hai pahlu mein 'hawas'
zabh karti hai butan ki kam-nigahi kya karun