us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai
achchha sahi 'qatil' pa badnam bhi to hai
aankhen har ek hasin ki be-faiz to nahin
kuchh sagaron mein baada-e-gulfam bhi to hai
palkon pe ab nahin hai wo pahla sa bar-e-gham
rone ke baad kuchh hamein aaram bhi to hai
aaKHir buri hai kya dil-e-nakaam ki KHalish
sath us ke ek lazzat-e-be-nam bhi to hai
kar to liya hai qasd ibaadat ki raat ka
raste mein jhumti hui ek sham bhi to hai
hum jaante hain jis ko kisi aur nam se
ek nam us ka gardish-e-ayyam bhi to hai
a tishna-kaam-e-shauq ise aazma ke dekh
wo aankh sirf aankh nahin jam bhi to hai
munkir nahin koi bhi wafa ka magar 'qatil'
duniya ke samne mera anjam bhi to hai

Ghazal
Us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai
Qateel Shifai