us par to KHair aasman hai
is par agar dhuan dhuan hai
andha hai gharib KHush-guman hai
aur samne khai hai kuan hai
diwar-e-kuhan ke zer-e-saya
baalu ke mahal ki dastan hai
jalti hui ret ka sahaara
jalti hui ret bhi kahan hai
patthar ki lakir ke alawa
miTTi ka diya bhi darmiyan hai
har shahr ke zer-e-parda jangal
'ahmad' ye maqam-e-imtihan hai
Ghazal
Us par to KHair aasman hai
Ahmad Azimabadi