اردو हिंदी
Usne mere marne ke liye aaj dua ki | Shaahi Shayari
usne mere marne ke liye aaj dua ki

Ghazal

Usne mere marne ke liye aaj dua ki

Aziz Warsi

;

us ne mere marne ke liye aaj dua ki
ya rab kahin niyyat na badal jae qaza ki

aankhon mein hai jadu teri zulfon mein hai KHushbu
ab mujh ko zarurat na dawa ki na dua ki

ek murshid-e-bar-haq se hai derina talluq
parwah nahin mujh ko saza ki na jaza ki

donon hi barabar hain rah-e-ishq-o-wafa mein
jab tum ne wafa ki hai to hum ne bhi wafa ki

ghairon ko ye shikwa hai ki pita hai shab-o-roz
mai-KHane ka muKHtar to ab tak nahin shaki

ye bhi hai yaqin mujh ko saza wo nahin denge
ye aur bhi hai taslim ki han main ne KHata ki

is daur ke insan ko KHuda bhul gaya hai
tum par to 'aziz' aaj bhi rahmat hai KHuda ki