us ne meri rah na dekhi aur wo rishta toD liya
jis rishte ki KHatir mujh se duniya ne munh moD liya
baDi baDi KHushiyon ko han nazdik se ja kar dekha to
main ne rah ke chalte-phirte dukh se nata joD liya
main kitne rangon mein Dhalta kab tak KHud se laD pata
jiwan ek safar tha jis ne roz naya ek moD liya
aise shaKHs ko mir banaya jo bas KHwab dikhata tha
basti ke logon ne apna-ap muqaddar phoD liya
main to bhola-bhaala 'wasim' aur wo fankar siyasat ka
us ke jab ghaTne ki bari aai mujh ko joD liya
Ghazal
Usne meri rah na dekhi aur wo rishta toD liya
Waseem Barelvi