اردو हिंदी
Usne likha tha harf-e-judai mere liye | Shaahi Shayari
usne likha tha harf-e-judai mere liye

Ghazal

Usne likha tha harf-e-judai mere liye

Mohammad Firoz Shah

;

us ne likha tha harf-e-judai mere liye
phir miT gai thi sari KHudai mere liye

gajre tamam shahr mein banT aaya to khula
ghar mein bhi muntazir thi kalai mere liye

sundar gulab KHwab to KHwabon ki baat hai
ye raat nind bhi to na lai mere liye

pur-nur sar-zamin pe aa kar bhula diya
kis ne lahu se shama jalai mere liye

wo bhi the ratjagon ki masafat mein ham-safar
taron ne raat raat sajai mere liye

'firoz' main ne KHud hi salasil pahan liye
mumkin nahin hai ab to rihai mere liye