us ne kiya hijab mere dekhne ke baad
us ko mila sawab mere dekhne ke baad
surat pe chaar-chand lage the janab ki
ye bhi tha inqalab mere dekhne ke baad
meri nazar se Daliyan chhu kar hari huin
khilne lage gulab mere dekhne ke baad
itna main sher-fahm nahin hun magar yahan
chhapte hain intiKHab mere dekhne ke baad
khulta hi ja raha hai kisi ruKH ke ru-ba-ru
sharm-o-haya ka bab mere dekhne ke baad
pahle nazar uTha ke mujhe dekhte bhi the
lekin ye ijtinab mere dekhne ke baad
meri nazar mein dosto shiddat bala ki thi
TuTa paDa tha KHwab mere dekhne ke baad
Ghazal
Usne kiya hijab mere dekhne ke baad
Fakhr Abbas