us ne KHud phone pe ye mujh se kaha achchha tha
dagh-e-bosa wo jo kandhe pe mila achchha tha
pyas ke haq mein mere honT dua karte the
pyas ki chah mein ab jo bhi mila achchha tha
nind bal khati hui aai thi nagin ki tarah
kaT bhi leti agar wo to baDa achchha tha
yun to kitne hi KHuda aae mere raste mein
main ne KHud hi jo banaya tha KHuda achchha tha
wo jo nuqsan ki manind mujhe lagta hai
sach to ye hai ki wahi ek nafa achchha tha
dil ki tarik si galiyon mein tumhaari aahaT
aur aahaT se jo ek phul khila achchha tha
jism ko yaad kiya karti hai ab ruh meri
aur kahti hai ki wo bagh ama achchha tha
log kahte hain ki wo shaKHs bura tha lekin
dil to kahta hai ki wo shaKHs baDa achchha tha
Ghazal
Usne KHud phone pe ye mujhse kaha achchha tha
Tripurari