us ne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi
kya hi dilchasp mujhe wo nazar aai mehndi
na raha ek bhi chor us ke kahin hathon mein
aisi chaturai se kafir ne lagai mehndi
baiThe baiThe jo mizaj aa gaya rangini par
gundh kar lale ki pati mein milai mehndi
is nafasat ka main kushta hun ki ek to us ne
bangle panon se hathon mein bandhai mehndi
tis pe kam-baKHt ki ye dusri saghDai dekh
bandh rumalon se bame ki bachai mehndi
aur hushyari ye sun sote se jo chaunk paDa
khol phurti se wahin jald chhuDai mehndi
baad-azan taq se ek chhoTe se shishe ko utar
itr mein hathon se mal mal ke basai mehndi
'mushafi' kyun na dua dewe ki us ko tu ne
ek ghazal aur bhi rangin likhai mehndi
Ghazal
Usne kar wasma jo funduq pe jamai mehndi
Mushafi Ghulam Hamdani