اردو हिंदी
Usne jo dard ka ambar lagaya hua hai | Shaahi Shayari
usne jo dard ka ambar lagaya hua hai

Ghazal

Usne jo dard ka ambar lagaya hua hai

Krishna Kumar Toor

;

us ne jo dard ka ambar lagaya hua hai
hum ne bhi dil sar-e-bazar lagaya hua hai

ek aafat ki tarah hum ne ab is sine se
tha lagana jise sarkar lagaya hua hai

pyar ki taza hawa aae kahan se hum ne
KHud ko ek surat-e-diwar lagaya hua hai

kya kisi but ki mohabbat mein giraftar hue
kyun bhala sine se zunnar lagaya hua hai

ek lamhe ko bhi maujud nahin hai rahat
ghar mein kya halqa-e-aghyar lagaya hua hai

apne se dur bhi rakkha hai bahut tu ne hamein
ek tasma sa bhi ai yar lagaya hua hai

taki tafriq dilon mein na rahe hargiz 'tur'
hum ne is par ko us par lagaya hua hai