us ne hamare hath mein ek hath kya diya
kuchh der to hatheli pe jalta raha diya
main us ke intizar mein khoi kuchh is tarah
aankhen huin charagh to ghar tha diya diya
aangan mein jaise ek charaghan sa ho gaya
aisa kahan se lai thi shab ko hawa diya
dil ki tamam raunaqen us ke hi dam se thin
Duba jo chand hum ne diya hi bujha diya
hum chahte the mah-e-daraKHshan ko dekhna
us ne hamein dariche se chehra dikha diya
wo muddaa-shanas tha mera kuchh is tarah
kuchh sochne se pahle hi ye kah diya, diya
Ghazal
Usne hamare hath mein ek hath kya diya
Ayesha Masood Malik