اردو हिंदी
Usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein | Shaahi Shayari
usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

Ghazal

Usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

Faisal Ajmi

;

us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein
gir paDa hath se aaina pareshani mein

aa gae ho to barabar hi mein KHema kar lo
main to rahta hun isi be-sar-o-samani mein

is qadar ghaur se mat dekh bhanwar ki jaanib
tu bhi chakra ke na gir jae kahin pani mein

kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko
main ki rahta hun sada apni nigahbani mein

wo mera dost tha dushman to nahin tha 'faisal'
main ne har baat bata di use nadani mein