اردو हिंदी
Usne be-kar ye bahrup banaya hua hai | Shaahi Shayari
usne be-kar ye bahrup banaya hua hai

Ghazal

Usne be-kar ye bahrup banaya hua hai

Irfan Siddiqi

;

us ne be-kar ye bahrup banaya hua hai
hum ne jadu ka ek aaina lagaya hua hai

do jagah rahte hain hum ek to ye shahr-e-malal
ek wo shahr jo KHwabon mein basaya hua hai

raat aur itni musalsal kisi diwane ne
subh roki hui hai chand churaya hua hai

ishq se bhi kisi din marka faisal ho jae
us ne muddat se bahut hashr bapaya hua hai

laghzishen kaun sambhaale ki mohabbat mein yahan
hum ne pahle bhi bahut bojh uThaya hua hai

banu-e-shahr hamein tujh se nadamat hai bahut
ek dil hai jo kisi aur pe aaya hua hai