us ne aate hi diya bujha diya
haal phir sara mujhe suna diya
muKHtasar se us ke ek tabassum par
jo kuchh bhi tha pas wo luTa diya
be-sabri se paDh gaya ek ek lafz
aur phir wo KHat wahin jala diya
sar uThaya jis ne basti ke liye
us ke aage hum ne sar jhuka diya
sara din dariya kinare ret par
nam likha mera aur miTa diya
muskura kar baat hi to ki us ne
logon ne is par tufan uTha diya
is taraf us ne kabhi dekha na tha
aur jab dekha to but bana diya
hum khare sikke liye baiThe rahe
us ne naqli note tak chala diya

Ghazal
Usne aate hi diya bujha diya
Habeeb Kaifi