us ne aane ka jo wada kya jate jate
dam mera sine mein rukne laga aate jate
KHak mein mujh ko jo tum ne na milaya na sahi
lash hi meri Thikane se lagate jate
tere diwanon ka dekhe to koi josh-o-KHarosh
su-e-mahshar bhi hain ek shor machate jate
hum to samjhe the ki nalon se tasalli hogi
ye to hain dard mein dard aur baDhate jate
sath lena tha hamein bhi tujhe o paik-e-saba
hum bhi ham-rah tere Thokaren khate jate
tum ne kandha na diya lash ko meri na sahi
ek Thokar hi meri jaan lagate jate
yun na jaana tha unhen pas se uTh kar 'anjum'
koi aafat hi mere sar pe wo dhate jate
Ghazal
Usne aane ka jo wada kya jate jate
Mirza Asman Jah Anjum