اردو हिंदी
Us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai | Shaahi Shayari
us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai

Ghazal

Us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai

Akhtar Shirani

;

us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai
bedard aasman ye kya baat ho gai

aawargan-e-ishq ka maskan na puchhiye
paD rahte hain wahin pe jahan raat ho gai

zikr-e-shab-e-visal ho kya qissa muKHtasar
jis baat se wo Darte the wo baat ho gai

masjid ko hum chale gae masti mein bhul kar
hum se KHata ye pir-e-KHarabaat ho gai

pichhle ghamon ka zikr hi kya jab wo mil gae
ai aasman talafi-e-mafat ho gai

zahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya
rindon se aaj ye bhi karamat ho gai

bechain rakhne wale pareshan hon KHud na kyun
aaKHir ko teri zulf meri raat ho gai

jhula jhulaen chal ke hasinon ko bagh mein
gujraat mein suna hai ki barsat ho gai

kya faeda ab 'aKHtar' agar parsa bane
jab sari umr nazr-e-KHarabaat ho gai