us lamhe tishna-lab ret bhi pani hoti hai
aandhi chale to sahra mein tughyani hoti hai
nasr mein jo kuchh kah nahin sakta sher mein kahta hun
is mushkil mein bhi mujh ko aasani hoti hai
jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain
sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai
ishq tumhaara khel hai baz aaya is khel se mein
mere sath hamesha be-imani hoti hai
kyun apni tariKH se nalan hain is shahr ke log
Dah dete hain jo tamir purani hoti hai
ye nukta ek qissa-go ne mujh ko samjhaya
har kirdar ke andar ek kahani hoti hai
itni sari yaadon ke hote bhi jab dil mein
virani hoti hai to hairani hoti hai
Ghazal
Us lamhe tishna-lab ret bhi pani hoti hai
Afzal Khan