us ko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan
aur uTha lun us se dil ye zor dil par hai kahan
ghuT ke rah jae na sar hi mein kahin zauq-e-sujud
main to sar har dar pe rakh dun par koi dar hai kahan
naghma-rezi saz ki bazigari mutrib ki hai
naghma koi be-nawa taron ke andar hai kahan
us ke honTon se jhalakti hai meri lab-tishnagi
khinch rahi hai mai kahan par aur saghar hai kahan
main wahan rahta hun gunjaish jahan meri nahin
kya kahun kis ghar mein rahta hun mera ghar hai kahan
KHud ko dekha hai jab un aankhon mein jhanka hai 'muhib'
mujh ko itna qurb KHud se bhi mayassar hai kahan
Ghazal
Usko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan
Muhib Aarfi

