us ko naghmon mein sameTun to buka jaane hai
girya-e-shab ko jo naghme ki sada jaane hai
main teri aankhon mein apne liye kya kya DhunDun
tu mere dard ko kuchh mujh se siwa jaane hai
us ko rahne do mere zaKHmon ka marham ban kar
KHun-e-dil ko jo mere rang-e-hina jaane hai
meri mahrumi-e-furqat se use kya lena
wo to aahon ko bhi manind-e-saba jaane hai
ek hi din mein tere shahr ki masmum faza
mere pairahan-e-sada ko riya jaane hai
main kabhi tere dariche mein khila phul bhi tha
aaj kya hun tere gulshan ki hawa jaane hai
mujh se kahta hai mera shoKH ki iqbaal-'matin'
tum rahe raat kahan ye to KHuda jaane hai
Ghazal
Usko naghmon mein sameTun to buka jaane hai
Iqbal Mateen