us ko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho
ghaebana hi teri us ki shanasai na ho
mujh pe zahir hai tere ji mein hain kya kya KHwahishen
baat aisi kar ki jis mein teri ruswai na ho
ehtiyatan dekhta chal apne sae ki taraf
is tarah shayad tujhe ehsas-e-tanhai na ho
aasman ek dasht ki surat sitare ret hain
to lab-e-dariya sarabon ka tamannai na ho
DhunDh ab kuchh bhagte logon mein surat aashna
in bagulon mein gae lamhon ki purwai na ho
tha safar dar-pesh sahra ka girah mein rakh diye
us ne kuchh kanTe ki uzr-e-abla-pai na ho
khinch lega abr se barish agar sabza hua
tu kisi ki chah mein be-kar saudai na ho
hum use chhukar yahi samjhe ki wo patthar nahin
is se baDh kar aur kya kahiye jo binai na ho
khul gai hai aankh to chadar bana kar dekh le
tere kamre hi mein in KHwabon ki ranai na ho
zaKHm tere dil ki zinat hain unhen parde mein rakh
koi na-mahram tere ghar ka tamashai na ho
aaj 'shahid' us ke darwaze pe panw ruk gae
radio bajta tha main chaunka ki shahnai na ho

Ghazal
Usko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho
Saleem Shahid