us ko apni zat KHuda ki zat lagi hai
mere dil ko pagal ki ye baat lagi hai
kajjug hai aur phir dukhDon ki barsat lagi hai
nuh ki kashti mere ghar ke sath lagi hai
mere pas tahi-dasti hai darweshi hai
ye daulat kab shahzadon ke hat lagi hai
gori-chaTTi dhup na joban par itrae
din ke pichhe kali kali raat lagi hai
ek hasin firaun ko bazm-e-sher-o-suKHan mein
meri ghazlon ki pustak tauraat lagi hai
main insan ko maut ka dulha kah deta hun
mujh ko matam ki Toli baraat lagi hai
Ghazal
Usko apni zat KHuda ki zat lagi hai
Sher Afzal Jafri