us ki yaad aur dard ki saughat mere sath thi
us se baDh kar ek tanha raat mere sath thi
mujh ko tanhai mein bhi ehsas-e-tanhai na tha
har gali mein gardish-e-haalat mere sath thi
rafta rafta band kaliyon ke bhi lab khulne lage
aab-e-sabr o hiddat-e-isbaat mere sath thi
band khiDki par bhi 'KHalid' ek din pahre lage
aisi bhi kuchh surat-e-haalat mere sath thi

Ghazal
Uski yaad aur dard ki saughat mere sath thi
Yahya Khalid