us ki taswir kya lagi hui hai
pure kamre mein raushni hui hai
kuchh bhi tartib mein nahin tha yahan
us ke aane se behtari hui hai
dil kisi aur ja aDa hua hai
ruh kisi aur mein phansi hui hai
kaise kah dun main haal-e-dil us se
wo mere samne baDi hui hai
jit jati hai mujh se baaton mein
baDe school ki paDhi hui hai
dost to wo bahut purani thi
han mohabbat nai nai hui hai
us ke rone se mausamon mein nami
us ke hansne se dhup si hui hai
mere sheron mein aur kuchh na sahi
us ki KHushbu rachi-basi hui hai
ab to haalat kafi behtar hain
warna pahle to shairi hui hai
aap mat DhunDhiyega kuchh is mein
ye ghazal us ke nam ki hui hai

Ghazal
Uski taswir kya lagi hui hai
Waseem Tashif