us ki surat us ki aankhen us ka chehra bhul gae
jis raste par barson bhaTke hum wo rasta bhul gae
tez hawa ke zalim jhonke lamha lamha sath rahe
lamha lamha ek muddat tak dard jo uTTha bhul gae
sahra sahra chalte chalte kuchh aise manus hue
apne apne shahar ka rahi gosha gosha bhul gae
pagDanDi jo ranj-o-alam ko jati thi wo yaad nahin
KHushiyon ka bhi shish-mahal mein ek tha Dera bhul gae
kahte hain kuchh dost hamare hum kafi mutwazin hain
is manzil tak aate aate jaane kya kya bhul gae
Ghazal
Uski surat uski aankhen us ka chehra bhul gae
Anwar Habeeb