اردو हिंदी
Uski surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum | Shaahi Shayari
uski surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum

Ghazal

Uski surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum

Ghamgeen Dehlvi

;

us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum
KHud-ba-KHud apne se hamdam aap ghabraate hain hum

hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh
jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum

baiThe baiThe kyun yakayak hae dil khoya gaya
hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin pate hain hum

KHud-ba-KHud kal shab ko wo bole uTha munh se naqab
jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum

be-sabab ho kar KHafa jab kuchh sunata hai wo shoKH
ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum

sham ko saqi kabhi aata hai gar tera KHayal
subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum

hum ne gham kya KHak khaya gham ne hum ko kha liya
log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum

jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum

jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin
dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum