us ki sochen aur us ki guftugu meri tarah
wo sunahra aadmi tha hu-ba-hu meri tarah
ek barg-e-be-shajar aur ek sada-e-bazgasht
donon aawara phire hain ku-ba-ku meri tarah
chand tare ek diya aur raat ka komal badan
subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah
lutf aawega bahut ai sakinan-e-qasr-e-naz
be-dar-o-diwar bhi rahiyo kabhu meri tarah
dekhna phir lazzat-e-kaifiyyat-e-tishna-labi
toD de pahle sabhi jam-o-subu meri tarah
ek piyaada sar karega sara maidan-e-jadal
shart hai josh-e-junun aur justuju meri tarah
Ghazal
Uski sochen aur uski guftugu meri tarah
Aziz Nabeel