us ki KHwahish pe nae sher barabar kahna
aur phir sun ke unhen us ka mukarrar kahna
KHushk aankhen liye hansta hua dekho jis ko
us ko sahra nahin kah dena samundar kahna
kya ajab hai ki ho beTe ki faqat haar pe haar
aur man ka use har bar sikandar kahna
ye to hum hain baDe dil wale jo kah dete hain
warna aasan nahin apne se behtar kahna
pahle hum 'mir' ke qadmon ko zara chum aaen
baad mein yaro hamein khul ke suKHnawar kahna
ishq ke maron ko kahna nahin dekho kuchh bhi
aur agar kahna hi chaho to qalandar kahna

Ghazal
Uski KHwahish pe nae sher barabar kahna
Zia Zameer