us ki jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain
apne sath aap hi karte hue jang aate hain
husn mein jab tain garmi na ho ji dewe kaun
sham-e-taswir ke kab gird patang aate hain
dil ko kis bu-qalamon jalwe ne hai KHun kiya
ashk aaankhon se jo ye rang-ba-rang aate hain
aah tazim ko uThti hai mere sine se
dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain
shart gar puchho to hai is mein bhi qismat warna
aashiqi karne ke har ek ko Dhang aate hain
naKHl-e-wahshat bhi magar un ka samar rakhta hai
har taraf se jo ye diwaron pe sang aate hain
hairat-afza hai ajab kucha-e-dildar 'hasan'
jo wahan jate hain is tarf se dang aate hain
Ghazal
Uski jab bazm se hum ho ke ba-tang aate hain
Meer Hasan