اردو हिंदी
Uski jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera | Shaahi Shayari
uski jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera

Ghazal

Uski jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera

Abdullah Kamal

;

us ki jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera
us ki band muTThi mein sara bankpan mera

main ne apne chehre par sab hunar sajae the
fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera

dil bhi kho gaya shayad shahr ke sarabon mein
ab meri tarah se hai dard be-watan mera

ek dasht-e-KHamoshi ab mera muqaddar hai
yaad be-sada teri zaKHm be-chaman mera

aao aaj hum donon apna apna ghar chun len
tum nawah-e-dil le lo KHitta-e-badan mera

roz apne KHwabon ka KHun karta rahta hun
hae kin ghanimon se aa paDa hai ran mera

ganw ki hawaon ne phir sandesa bheja hai
muntazir tumhaara hai KHushbuon ka ban mera