اردو हिंदी
Uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo | Shaahi Shayari
uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

Ghazal

Uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

Ibrahim Ashk

;

us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo
dasht mein tanha hun main aur shahr mein tanha hai wo

main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aina
dur tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo

us ki KHush-bu se mahak kar phul ban jata hai dil
mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jata hai wo

zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar
is safar mein bar-ha mil kar bichhaD jata hai wo

KHwab kya hai ek khanDar hai ye khanDar kitna hasin
is khanDar mein sair karne ke liye aata hai wo

main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamam
mujh ko har manzil se aage ki KHabar deta hai wo

husn kya hai ek ghazal hai 'ashk' ek taza ghazal
jam hai mina hai wo saghar hai wo sahba hai wo