us ki gali mein zarf se baDh kar mila mujhe
ek pyala justuju thi samundar mila mujhe
main chal paDa tha aur kisi shahrah par
KHanjar-ba-dast yaadon ka lashkar mila mujhe
dariya-e-shab se par utarna muhaal tha
TuTa hua safina-e-KHawar mila mujhe
taron mein us ka aks hai phulon mein us ka rang
main jis taraf gaya mera dilbar mila mujhe
har zarra ba-kamal hai har patta be-misal
duniya mein KHud se koi na kam-tar mila mujhe
kab se bhaTak raha hun main is dasht mein magar
KHud se kabhi mila na tera dar mila mujhe
hota nahin hai tujh pe kisi baat ka asar
lagta hai tere rup mein patthar mila mujhe
be-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi
phir KHwab mein wo KHwab sa paikar mila mujhe
is baat par karunga main din raat ehtijaj
kis jurm mein ye KHak ka bistar mila mujhe
mujh ko nahin rahi kabhi manzar ki justuju
ghar ke qarib ku-e-sitamgar mila mujhe
jab tak raha main KHud mein bhaTakta raha yahan
jab KHud ko kho diya to tera dar mila mujhe
miTTi mein DhunDta hua kuchh buDha aasman
main jis taraf gaya yahi manzar mila mujhe
karte hain log husn se yan na-rawa suluk
rote hue hamesha gul-e-tar mila mujhe
Ghazal
Uski gali mein zarf se baDh kar mila mujhe
Fawad Ahmad