us ki chah mein nam nahin aane wala 
ab mera anjam nahin aane wala 
husn se kaam paDa hai aaKHiri sanson mein 
aur wo kisi ke kaam nahin aane wala 
meri sada par wo nazdik to aaega 
lekin zer-e-dam nahin aane wala 
ek jhalak se pyas ka rog baDhega aur 
is se mujhe aaram nahin aane wala 
ishq ke nam pe tera rang na badle yar 
tujh par kuchh ilzam nahin aane wala 
kaam ko baiThe hain aur sar par aai sham 
lagta hai ab kaam nahin aane wala 
kyun be-kar us shaKHs ka rasta dekhte ho 
wo to 'shumar' is sham nahin aane wala
        Ghazal
Uski chah mein nam nahin aane wala
Akhtar Shumar

