اردو हिंदी
Uski chah mein ab ke ye bhi kamal hua | Shaahi Shayari
uski chah mein ab ke ye bhi kamal hua

Ghazal

Uski chah mein ab ke ye bhi kamal hua

Krishna Kumar Toor

;

us ki chah mein ab ke ye bhi kamal hua
KHud se main bahar aaya to ek misal hua

dard ki beDi sham se hi baj uThti hai
main to us ke firaq mein aur niDhaal hua

wo meri tarif ka ab mohtaj nahin
wo chehra to KHud hi ek misal hua

KHud hi charagh ab apni lau se nalan hai
naqsh ye kya ubhra ye kaisa zawal hua

ab to sannaTa bhi bolta lagta hai
apne aap mein ye bhi ek kamal hua

main apni tanhai se shayad aajiz tha
is aahaT ka warna kaise KHayal hua

wo bhi mujh ko bhula ke bahut KHush baiTha hai
main bhi us ko chhoD ke 'tur' nihaal hua