us ki aankhon pe man tha hi nahin
KHwab the KHwab-dan tha hi nahin
main taaqub mein chal paDa jis ke
dhul thi karwan tha hi nahin
do zamin-zad jis mein rah sakte
is qadar aasman tha hi nahin
gir paDa hun to raste ne kaha
tera mujh par to dhyan tha hi nahin
ek KHwahish thi do dilon ke bich
aur kuchh darmiyan tha hi nahin
hum ne phulon se KHub baaten kin
bagh mein baghban tha hi nahin
us ne chaha ki jaana jaun main
us se pahle jahan tha hi nahin
umr us mein guzar di 'mumtaz'
wo jo mera makan tha hi nahin
Ghazal
Uski aankhon pe man tha hi nahin
Mumtaz Gurmani